Sab Kuch To Hai

Sab kuch to hai!

Ek chota sukhi parivar hai, bade saare acchhe dost hai,
Kuch anjane chehre hain aur kuch ajnabi saaye bhi hai.

Sar par chhatt hai, sone ko bistar hai,
Jeb main paise hain aur khane ko khana hai,
Broadband internet connection hai aur mobile main balance bhi hai.

Thoda sa paisa hai, thodi si shauhrat hai,
Thoda sa namak aur thodi si mirch bhi hai.

Sapne hain, khawab hai,
Hausla hai aur kuch dhundali manzilain bhi hai.

Jo kuch chahiye, wo sab kuch to hai.
Sab kuch hai, aur kuch kami bhi hai.

No comments:

The Nidhi Kapoor Story

Did you like this post? May be you want to read my first book - The Nidhi Kapoor Story.

Check it out on Amazon or Flipkart?